Woh Aa Raha Hai lyrics Mir Hasan Mir New Manqabat 2020 lyrics
Woh Aa Raha Hai lyrics which was recited by Mir e Manqabat Mir Hassan mir is top Pakistani manqabat khwaan and Noha khwaan. He has been visited many countries for different gatherings(jashan , meelad and majalis). This new kalam lyrics are recorded on the birth anniversary of Imam Mehdi ajfs. 15 shaban manqabat lyrics.
☆ On the Auspicious Occasion of 15 Shaban Amad e Hadi e Barhaq Imam Zamana Al Mehdi Sahib e Asro wa Zaman (atfj) ☆ Gift for All Momineen ☆
#15ShabanManqabat #NewManqbat2020 #WohAaRahaHai
●● MANQABAT LYRICS ● ●
●Sab thaat para reh jaye ga jab aane wala ayega
Ye dharti sona ugle gi, ye charkh gohar barsayega
Kaabe ki chat par Ghazi ka, ek roz alam lehrayega
●Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega
Baghayr farman e Ibn e Zahra, nizaam e dunya nahi chalega
Kare ga aa kar woh adl qayem, koi sifarish nahi chalegi
Imam aayenge laut kar jab, har ek mu'azzin ba-ghaur sunle
- Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega
●Alag na hoga koi kisi se, Namaz rozay bhi ek honge
Azaan ho gi Ghadeer waali, ye kam-ziyaada nahi chalega
Koi karega halaal tum ko, haraam maatam ko kehne waalo
- Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega
●Anaa ke jazbon me behne waalon, hawa e mazhab me rehne waalo
Dunkaan fatwon ki band hongi, kisi ka fatwa nahi chalega
Ali ka munkir ho chaahe jo bhi, zameen pe zinda nahi chale ga
- Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega
●Likha huwa he hadith me bhi, zameen nijasat se dur ho gi
Chalegi shamsheer Murtaza ki, zabaan o millat ki qayd kaysi
- Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega
Amanat e Sayyada hein aansu, yahan khayanat se khud hi bachna
- Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega
Kahen na mahshar ke roz Zahra, tumhara pursa nahi chalega
- Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega
●Khuda e Wahid ka faysala he, ke noor kaamil zaroor hoga
Hazaar fitne uthaye dunya, Wali ka lazim zahoor hoga
Baghayr Imam e zamana Akbar, kabhi zamana nahi chalega
0 Comments