ROZADARO QAYAMAT KE DIN HAIN - Noha Imam Ali - 21 Ramzan 2019
|
ROZADARO QAYAMAT KE DIN HAIN Lyrics |
Lyrics
(Peshwayi)
Aye rozadaro aaho buka ke ye roz hain
Sadaat per nuzoole bala ke ye roz hain
Sartaj e Ausiya ki Aza ke ye roz hain
Tumse vida e Sher e Khuda kay ye roz hain
ROZADARO QAYAMAT KE DIN HAIN
IBNE MULJIM NE HAIDER KO MARA
ROZA DARO QAYAMAT KE DIN HAIN
Humse bichra hai mola hamara
Roza daro qayamat kay din hai
IBNE MULJIM NE HAIDER KO MARA
ROZA DARO QAYAMAT KE DIN HAIN
1) Khaake bewarisi hai saron per
Kalay parcham lage hain gharon per
Hum se bichra hai maula hamara
2) Shab ye uneesween kysi aayi
Khoon me dooba Mohammad ka bhai
Roraha hai sahar ka sitara
ROZA DARO QAYAMATH KE DIN HAIN
3) Ibne muljim sitam kaisa dhaya
Qabr me Sayyeda ko rulaya
Kaise bachon ka hoga guzara
ROZA DARO QAYAMAT KE DIN HAI
4) Taigh sar pe Ali kay lagi hai
Aaj shamme Imamat bujhi hai
Dil yateemo ka hai para para
ROZADARO QAYAMAT KE DIN HAIN
5) Maa kay marne ka gham kam nahi tha
Aik kohe alam aur toota
Sog me ghar hai Zehra ka sara
ROZA DARO QAYAMAT KE DIN HAIN
6) Ghar me Haider kay aaho fughan hai
Eid nazdeek gham ka samaa hai
Aisa Ramzan na aye dobara
ROZA DARO QAYAMAT KE DIN HAIN
7) Umme Kulsoom Zainab se boleen
Aaj baba ne aankhen na kholeen
Maine shaana hila kar pukara
ROZA DARO QAYAMAT KE DIN HAIN
8) Sina kobi ko "Rehan" o "Mesum"
Kyun na farsh e aza pe chalain ham
Ghamzada chaar su hai nazara
ROZADARON QAYAMAT KAY DIN HAIN
IBNE MULJIM NE HAIDER KO MARA
ROZA DARO QAYAMAT KE DIN HAIN
Noha Details
Noha: ROZADARO QAYAMAT KE DIN HAIN
Recitor: Mesum Abbas
Poet: Dr. Rehan Azmi / Mirza Salamat Ali Dabeer - (Peshwayi)
Special Thanks: Arsalan Azmi/Own Rizvi
Bandish: Own Rizvi
Arrangement: Zille Raza Zaidi
Audio: ODS Studio - Karachi
Video: TNA Productions - Ali Arman Baltistani
Chorus: Rajab Ali - Amanat Ali - Ghulam Abbas
Video Shooting Location: Imambargah Dar E Hussain (NJ, USA)
0 Comments